tujh se main mujh se aashna tum ho
main hun KHushbu magar hawa tum ho
main likhawaT tumhaare hathon ki
meri taqdir ka likha tum ho
tum agar sach ho, main bhi jhuT nahin
aks main, mera aaina tum ho
be-KHudi ne mera bharam toDa
main samajhta raha KHuda tum ho
main hun mujrim, mere ho munsif tum
main KHata hun, meri saza tum ho
sip ki aas ban ke chahun tumhein
lae jo moti wo ghaTa tum ho
apni majburiyon ka ranj nahin
bewafa main hun, ba-wafa tum ho
rog ban kar paDa hua hai ‘kanwal’
tum dawa ho, meri dua tum ho