• November 7, 2019

Kabhi bulao, kabhi mere ghar bhi aaya karo

Kabhi bulao, kabhi mere ghar bhi aaya karo

Kabhi bulao, kabhi mere ghar bhi aaya karo 150 150 rorrimradmin

kabhi bulao, kabhi mere ghar bhi aaya karo
yahi hai rasm-e-mohabbat, ise nibhaya karo

tumhaare jism ke ashaar mujh ko bhate hain
meri wafa ki ghazal tum bhi gungunaya karo

tumhaare wasl ki raaton ki lazzaton ki qasam
mujhe judai ke manzar na ab dikhaya karo

qarib aao, in aankhon ki justuju dekho
hayat ban ke mere sath jagmagaya karo

sharif-zadon ki beja KHataon se milne
yatim-KHanon ke bachchon se milne jaya karo

hamare hisse mein man ki duaen aain ‘kanwal’
tum apne hisse ki daulat se ghar sajaya karo