zara zara si baat par wo mujh se bad-guman rahe
jo raat din the mehrban wo ab na mehrban rahe
judaiyon ki lazzaton ki wusaten nahin rahin
wo KHush-KHayal wasl ban ke mere darmiyan rahe
paheliyan bujhao mat bahane ab banao mat
yahin kahin nahin the tum batao phir kahan rahe
wo mere sath kab na the gila karun jo main bhala
zara zara si baat ka fuzul kyun bayan rahe
na jhil koi shahr mein talayya-tal bhi
nahin ye lashkar-e-parind phir bataiye kahan rahe
mohabbaten murawwaten lihaz ya KHulus ho
sabhi hain dar-ba-dar ki ab na in ke qadr-dan rahe
masarraton ki dhup un ke flat mein hai raat din
hamare gham ki bastiyon mein karb-e-jawedan rahe
zara zara si baat par bichhad gaya jo be-sabab
ana wa zid ki kashmakash mein hum yahan wahan rahe
ye aasman ki tirgi numaishon ki raushni
‘kanwal’ tumhaari rah mein hamesha kahkashan rahe