kabhi bulao, kabhi mere ghar bhi aaya karo
yahi hai rasm-e-mohabbat, ise nibhaya karo
tumhaare jism ke ashaar mujh ko bhate hain
meri wafa ki ghazal tum bhi gungunaya karo
tumhaare wasl ki raaton ki lazzaton ki qasam
mujhe judai ke manzar na ab dikhaya karo
qarib aao, in aankhon ki justuju dekho
hayat ban ke mere sath jagmagaya karo
sharif-zadon ki beja KHataon se milne
yatim-KHanon ke bachchon se milne jaya karo
hamare hisse mein man ki duaen aain ‘kanwal’
tum apne hisse ki daulat se ghar sajaya karo