apnon ke darmiyan salamat nahin rahe
diwar-o-dar makan salamat nahin rahe
nafrat ki gard jama nigahon mein rah gai
ulfat ke qadr-dan salamat nahin rahe
raushan hain aarzu ke bahut zaKHm aaj bhi
zaKHmon ke kuchh nishan salamat nahin rahe
aisa nahin ki sirf yaqin dar-ba-dar hua
dil ke kai guman salamat nahin rahe
mahfuz baam-o-dar hain sadaqat ke aaj bhi
dhoke ke pandan salamat nahin rahe
apnon se apne lahje mein baaton ka hai kamal
kuchh shaKHs bad-zaban salamat nahin rahe
wo log be-adab the ‘kanwal’ be-KHulus the
hum jaise be-zaban salamat nahin rahe