• November 7, 2019

Apnon ke darmiyan salamat nahin rahe

Apnon ke darmiyan salamat nahin rahe

Apnon ke darmiyan salamat nahin rahe 150 150 rorrimradmin

apnon ke darmiyan salamat nahin rahe
diwar-o-dar makan salamat nahin rahe

nafrat ki gard jama nigahon mein rah gai
ulfat ke qadr-dan salamat nahin rahe

raushan hain aarzu ke bahut zaKHm aaj bhi
zaKHmon ke kuchh nishan salamat nahin rahe

aisa nahin ki sirf yaqin dar-ba-dar hua
dil ke kai guman salamat nahin rahe

mahfuz baam-o-dar hain sadaqat ke aaj bhi
dhoke ke pandan salamat nahin rahe

apnon se apne lahje mein baaton ka hai kamal
kuchh shaKHs bad-zaban salamat nahin rahe

wo log be-adab the ‘kanwal’ be-KHulus the
hum jaise be-zaban salamat nahin rahe